Tuesday, August 2, 2011

Yeh saali Zindagi

Akela baitha hua mein,Jaagta hoon raato ko
parchaiyon se poochta, do pal to mera saath do
Neend hain na aankho mein,mann mein na chain
Ab toh bas lage hain, jaldi beet jaaye yeh rain


din guzar jaate hain ,Sui ki chalte chalte
Ghante kahaan beet gaye,Suraj dhalte dhalte
naa aankho mein aansu na dard ka ehsaas ho
yeh din dikh jaane ke pehle, zindagi ki raat ho


garmiyon mein suraj ki narm kirno mein ghoomna
sardiyon mein kambal ke resham ko choomna
baarishon ki boondon ka maathe par jhoomna
in lamho ko kaid kar fir usmein doobna

aye pagal insaan tu har pal ko jee
usmein chippey amrit ko dil khol ke pee
jee ley kuch is tarah, jaise is raat ki subah nahi
aaj tere saath hain, kal ho na ho yeh saali zindagi