Wednesday, December 28, 2011

#Poem Series - Parchaai




aaj do pal main baith kar
soch raha tha waqt shayad gaya hain thehar
saari yaadein aakar havao ke saath
rulati rahi mujhe saari raat

main kaun hoon main kya hoon
kya hain meri pehchaan
sab ke ghumo ko bhulane
sabko deta raha ek hissa apni jaan

dusro ki hasi se
jod li maine apni khushi
yeh na socha, na jaana
na samjha yeh, ki unhone mujhe na pehchaana

samajhe woh mujhe apni zindagi ka sahara
mujh sa koi unko mile kee yeh dua
par mera unke saath hona
na tha unko gavara

Ab aaine mein jab apni
parchaai dekhne jaata hoon
us insaan mein apne aap ko dhoond na paata hoon
meri zindagi ke lamhe ubhar ke saamne aate hai
Meri asliyat ek saraab hain, yeh mujh se kehlate hain

Main kaid ho kar reh gaya
auro ki umeedo mein,bhool gaya yeh,
mazza aata hain khud ke liye jeene mein
meri parchai mujhe dekh kar kehti rehti hain yeh
chodd de jeena dusro ke liye,
ab toh mere liye jee le....



No comments: